Computer Virus Kya Hota Hai ? Aur Kitne Type Ka Hota Hai ?

Aaj ke time me jyada tar log internet par spend karte hai. Per kuch logo ko virus ke bare me pata nahi hota hai, ya phir apne computer me koi Antivirus install nahi kiye hote hai aur internet ka use karne lagte hai. Jiski wajah se computer me virus aana shuru ho jata hai. Aur virus se computer ya system kharab ya corrupt ho sakta hai. Virus computer me aane se kaise roke iske liye is post ko ache se padhe.

Computer  Virus Kya Hai Aur Kaise Aata Hai?


computer-virus-kya-hai-kitne-type-hote-hai

Computer Virus exe file ki tarah hota hai.Jo computer me apne aap compile hota hai. Computer virus hamhare kisi particular file ya software ko corrupt kar sakta hai.



                 Jaise agar humhare computer me kisi file me virus hai tho wo junk ban jayega us file se hum kuch bhi information nahi le sakte hai. Ya phir aise bhi ho sakta hai ki hamhare software ko corrupt kar dega jise hum install nahi kar payenge.Ya phir virus Hard disk ke boot me ja kar Hard disk ko slow kar deta hai. Aur computer me work karte time programs ya softwares ko struck kar deta hai.Phir hum apne pc se kisi dusre pc kuch file ya softwares share karte hai us pc me bhi virus chala gayega.


Malware Virus: - 

Malware ka pura naam malicious software hai. Ye ek aisa software hai jo ek baar apke computer system me aa gaya tho phir apke pure system ko kharab kar sakta hai. Malware computer me aane ka sabse common source hai internet hum Malaysian websites ko open karte hai or pirated software ya games tho ye sa download karte hai.ya phir ads per click karte hai.tho Malware virus computer me aa jata hai.

   Agar aap internet nahi bhi use kar rahe hai tho bhi Malware virus computer aane chances hai. Jaise ki computer me hum unknown  CD , DVD ya phir Pendrive ka use karte hai tho Malware virus aane ke chances hai.

Malware Virus 3 Types Ke Hote Hai


1: Trojan
2: Worms
3: Ransomware virus

   Trojan Virus Kya Hota Hai?

Ye ek aisa virus hai , jo apna look badal kar computer me aata hai aur aata hai tho pata nahi chalta hai. Apka aisa lagega ki te ek genuine software hai per aisa nahi hota hai. Aur ye softwares Computer ko nuksan pahuchane ke liye aate hai.



             Inko pehachanna aasan hai. Jaise Memory cleaner , speed booster , antivirus etc. Ye sabhi Trojan virus hote hai. Apko lagega ki computer ki speed boost karega lekin aisa nahi hota hai.agar ek bar apke pc me aa gaya tho computer ko slow kar deta hai or tarah tarah ke virus system me faila deta hai.

  Worms Virus Kya Hota hai?    

Agar apke computer me worms virus aa gaya tho system ko bahut bada nuksan ho jayega. Ye virus pc me aate hi jyada se jyada failane ki koshish karta hai.Agar Worms virus pc me aa gaye tho kisi bhi file ya folder ke bahut sare copy file ya folder bana deta hai or o files delete bhi nahi hote hai or pc ko bhi slow kar deta hai.Agar aap kisi dusre pc me wo files copy karte hai tho wo computer me bhi virus chala gayega.

Ransomware Virus Kya Hota Hai?

Friends computer ya laptop me online work karte hai tho ye latest virus aaya hai. Wanna Cry Ransomware Cyber Attack ye virus computer me aane ke baad sabhi files data encrypt karke file ko lock kar deta hai. Aur phir apko paise dene hote hai files unlock karne ke liye. Wanna Cry Ransomware Cyber Attack hone se bachne ke liye apko apne pc me ek badiya Antivirus install karke rakna chahiye. Aur Computer me Internet per work na karte time internet ko off rakna chahiye. Computer ko time per format karna chahiye. Ye virus 15 may 2017 ko release hua hai aur lagbag world ke 100 se vhi jyada countries me faila hua hai.


Malware Virus Se Kaise Bache?


Is virus se bachne ka sabse common tarika ye hai ki unknown website per na jaye jisase apke computer ko nuksan ho. Ya apko e-mail per offes mill rahe hai ya tarah tarah ke ads hai mails per tho us emails me aaye links ko soch samj kar open kare.

 


Offline virus se bachne ke liye ek accha antivirus use kare. License or paid wale antivirus hi use kare. Agar aap free ya pirated wale software use kar rahe hai tho iska koi faida nahi hai kyu ki isse virus aana possible hai. Tho aap ek paid version wala antivirus , software hi use kare. Jaise Quick Heal etc. Aur iske baad kisi bhi unknown source wale USB pendrive ,CD,DVD ko open karne se pehle scan jarur kare.

      Maine bahut se logo ko dekha hai songs, movies ko kisi bhi pendrive me dalne se pehle scan hi nahi karte jaldi jaldi me bhar dete hai. Aur isase computer ko nuksan hota hai.

Agar apko computer me pehle se malware virus hai or pc me antivirus bhi install hai . Phir bhi virus khatam nahi hota hai tho computer hard disk ko format kar de.

Tho friends apko pata chal gaya hoga ki computer virus kya hota hai or computer virus se kaise bache. Apne computer me virus ko hatane ke liye koi acha antivirus use kare.

Also, read : 


 I hope ki apko ye post acha lagegi or apko virus ke bare me kuch acchi jankari mil gayi hogi.

Post a Comment

0 Comments