Anjane Me Internet Per Hone Wale Crime


internet-per-hone-wale-crimes

Aaj ke time me internet hamhari zindagi mai itni gehri tarah jud chuka hai ki kuch gante bina internet ke rehna pade tho lagta hai ki zindagi me kuch miss ho gaya hai.Entertainment se lekar har sawal ka jawab aur har problem ke solution ke liye internet ka hi use karte hai.



Lekin aap ye nahi jante ki internet per kuch chize use karna crime hai.Halaki log jane anjane mai kuch chije use karte hai.is article me hum batayenge ki konse chije use karna crime hai.

  ● Skype Ki Video Recording Karna
 
  Aap Skype per kisise Baat Kar Rahe Ho , Tho Samne wale ke bina permission ke record karna crime hai.Itna hi nahi aap bina permission liye record kare aur ise kisi tisre ko share kiye tho aap ko is crime ke liye saza mil sakti hai.

 ● Advertisement Block Karna
   
        Aksar screen per ads dekh kar apko intention hoti hai.Is liye ad blocker ki madad se aap us ads ko bann karwa dete hai,Magar kya apko pata hai ki isase advertiser ko karodo rupees ka luksan hota hai.ads bann karna bhi crime hai.



 ● Apni Income Bataye Bina eBay Per Products sell Karna

      Jo log eBay store chala rahe hai unhe ye pata hona chahiye ki eBay real business ki tarah hi hai.Apko iske liye garvment ko income tax dena hota hai.Agar aap tax nahi dete tho ye gair kahnooni hai.

 ● Subscription Password Share Karna

   Ek account subscribe karna aur uska password kayi logo ko share karna.agar wo log bhi wahi account use karte hai,Tho ye crime hai.Iske liye apko saza bhi mil sakti hai.

 ● Choti Age Mai Facebook Account Banana

       Facebook 13 saal se bhi kam age ke bacche ko account banane ki permission nahi deta hai.Aise mai agar koi galat information de kar ya fake id banate hai,tho ye ek crime hai.Aur ise gair khanooni mana jata hai.

 ● Dusre Ke Wi-Fi Network Use Karna

     Kya aap bina permission ke kisi bhi ghar mai ghus jate hai ? Nahi na , isi tarah kisi aur ka unsecured Wi-Fi network use karna bhi crime me aata hai.

 ● Cyber Bullying

    Online kisi ke sath ghokadadhi karna ya kisi ko damki dena ise cyber bullying kehte hai.Aise kaam ke liye apko jail bhi jana padta hai.

 ● Copyright Wali Photo Download Karna

     Website per trend karne wali har photo personal use ke liye nahi hoti aur inka copyright hota hai.Is tarah ki photos ko personal use ke liye use karna crime hai.

 ●Pehle Se Registered Domain Ka Use Karna

    Agar aap kisi aise domain ko use karne ki soch rahe hai,jo popular hai.Tho yaad rakhiye ki ye chori hogi aur iske liye apko saza bhi ho sakti hai.Har company ka alag alag domain hota hai,jo wo paise dekar register karwati hai.

Also, read :

Online Shopping Me Fraud Hone Se Kaise Bache?
● Cyber Crime | Law | Security Kya Hai | Cyber Crime Se Kaise Bache ?
Top 3 Android Mobile Secret Codes In Hindi

     Friends ye the kuch internet par hone wale crimes, agar isse related koi sawal aapke mann me hai tho aap comment karke puch sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments