Online Shopping karna bahut hi easy hai kyu ki sabhi products ek hi jagah per mil jate hai.Aur acha discount bhi mil jata hai.Online Shopping per compare bhi kar sakte hai.Aur waha per koi gadbadi nahi hoti hai.
Jyada tar Online Shopping sites wrong product aane per amount refund kar deti hai.Lekin Online Shopping mai fraud yani dhoka dhadi ho sakta hai.Kyuki jisase aap product kharid rahe hai aur payment kar rahe hai wo site virtual hai.Yaha tak ki Cash On Delivery me bhi apko pehle paise dena padta hai uske bad aap product khol kar dekh pate hai.Tho aisi situation me apko Online Shopping dhoka dhadi aur jaldbazi se bachne ke liye ye tips follow kare.
Hamesha Official Seller Se Hi karide:-
India me Amazon aur Flipkart jaisi websites hai jo ki international network ki hai.Aur India me ye products bech nahi sakti hai.Isliye ye India ke hi seller ke liye market plans deti hai.Jin me kuch official seller hote hai aur unse products karidna safe hai.
Online Shopping sites Jabong ,Myntra, Aur Shopclues ki baat kare tho is per bhi jyada tar official seller through hi products becha jata hai.Lekin bahut se products third-party through becha jata hai.
Warehouse Me mazood Products Ko Hi Karide :-
Badi Shopping sites jaise Amazon,Flipkart aur Snapdeal ke pass apna ek warehouse hai.waha per pehle sabhi products lakar rakh diya jata hai,Yaha tak ki third-party seller ke sabhi products ko check karke rakh diya jata hai.Jab customer koi product order karta hai , tho Shopping sites ke though hoti hai na ki seller ke though.Jabhi aap Online Shopping kare tho try kare ki jo bhi product karide wo e-commerce company ke warehouse me pehle se mazood ho.
Karidne Se Pehle Seller Ki Rating Check Kare :-
Friends koi bhi product karidne ke pehle uski rating ke sath seller ki bhi rating check karni chahiye.Apko hamesha aise seller se product karidna chahiye jiski rating 90% se uper ho kya phir 4 star se jyada ho.Achi rating ka matlab hota hai ki seller ke ache quality ke products hai.Aur professionals tarike se businesses chala raha hai.
eBay Se Shopping Karte Time Paisapay Id Ka Use kare :-
Cash On Delivery se Shopping karna safe hota hai,lekin aisa hamesha nahi hota.Khaskar eBay se karidne mai.eBay per aap Paisapay ka use karoge tho acha hoga kyuki isase seller ko tab tak payment nahi milti jab tak aapka product delivery na ho.Agar kuch problem hoti hai tho eBay seller ko Paisapay payment rok leta hai.Aur problem ko slove karne ki koshish karta hai.Isase apka amount bilkul safe hota hai.Aur problem na slove hue tho aap apna paisa wapas paa sakte hai.Lekin ye sirf PaisaPay use karne si hi possible hai.
Jyada Discount Ke Chakar Me Na Pade:-
Hum sabhi Online Shopping se judi dhoka dhadi ke kisse sunne ko milte rehte hai.Jyada tar kisso me ye hota hai ki , koi customer ek mehanga product kafi saste me sell hota dikhta hai aur waha us product ko jaldi se order kar dete hai.Lekin jab waha product deliver hota hai aur khol kar dekhne per kuch pather ya phir kuch plastic na janne kya kya nikal ta hai.Tab aisi situation us customer ki kya halat hogi , ye tho wahi janta hoga.
Apko meri ye salah hai ki aise discount offers aur deals ke chakar me na pade.Lekin koi official seller ho tho Shopping kiya ja sakta hai.kyuki waha apko refund ka option bhi mil jata hai.
2 Comments
I constantly emailed this site post page to all my friends, because if prefer to read it then my all friends will too.Blogspot website
ReplyDeleteThank you so much and I hope further you will keep on sharing my posts and pages with your friends.
Delete