Technology Trick For Daily Life In Hindi

Aaj kal technology dheere dhere badte ja rahi hai. Dekha jaye tho aaj kal log mobile , computer ye sab bahut jyada istamal kar rahe hai. But bahut se logo mobile aur computer ke shout-cut's ya tricks pata nahi hote hai. Tho friends aaj me aise hi kuch mobile aur computer ke tricks ke bare me bataung jo daily usage me kafi helpful hai.


tech-tricks-n-tips

1. Agar aap you tube se koi video download karna chahte hai hai. Tho YouTube  ke URL me www. Or YouTube ke bich me ss likh kar search karoge tho aapko koi bhi video aasani download kar payenge.

2. Kisi iPad ka charger aap koi iPhone ko charger karne ke liye use karenge tho aapka iPhone jaldi charger hoga.

3. Battery ko fridger me rakhne se uski battery life bad jayegi.

4. Agar aap airplane ki ticket online  sasti karidna chahte hai , tho aap us site ko apne browser ke incognito window  me open kare. Agar aap us site ko normal window me bar-bar open karne se har bar us ticket ka price badta hua dikhega.

5. Mobile me game khelte time agar aap apna mobile ko airplane mode per dal denge tho apko game khelte time ads nahi dikhenge.

6. Agar aap koi pdf file download karte hai. Aur wo exe ke sath aayi ho tho use jaldi se jaldi delete kar de. Kyuki wo file ek virus ke sath aati hai.

7. Agar apke computer me tab button work na kare tho aap ctrl+shift+t ek sath dabaye tho apka kaam ho jayega.

8. Agar apke phone ki battery bahut kam bachi ho tho phone ko off na kare. Use airplane mode pe dal de. Phone off/on kare se uski battery life kam ho jati hai.

9. Agar apke computer me bahut sare programs ek sath chal rahe hai. Tho aap Windows+D  button dabane se sare programs minimize ho jayenge.

10. Agar apka mobile hang ho raha hai. Aur jaldi normal nahi ho raha hai tho use  mobile ki charge pin se connect kare aur mobile normal ho jayega.

11. Agar aap koi free trail software ko long time tak use karna chahate hai , tho aap apne computer me date piche karke long time tak free trail software use kar sakte hai.

12. Apne mobile me contact Gmail se sync karke rakhe. Taki contact delete hone per aap Google Contact se  wapas recover kar sakte hai.

13. Agar aap mobile me without koi application ke file ya folder hide karna chahate hai tho us file ya folder ke samne laga de.
     Example: Image.jpg to .Image.jpg 

14. Agar apko lage ki apke computer me koi hardware tik se kaam nahi kar raha hai. Tho aap us hardware make company ki website per se update device driver download karke use install kar de.

15. Agar koi website me apko automatically aage www. Aur piche .com lagane ke liye aap ctrl + Enter button dabaye.

umeed hai aapko yeh trick aur tips pasand aaye honge. agar aapko is post related koi sawal ya doubt ho to aap niche comment kare.

Post a Comment

2 Comments