Top 3 Android Mobile Secret Codes In Hindi

Hello friends Internet par mobile ke Secret codes ki bahut jyada demand rehti hai. Aur har Android user inke baare me janna chahate hai.Tho friends Aaj ke post me ham Mobile ke Secret Codes baare me pata karenge. Jo shayad aapko pata na ho, chalo shuru karte hai.

Android Mobile Secret Codes

Hindi Me Infotech

1 : Kaise Pata Kare Ki Apna Mobile Number Aadhar Card Se Link Hai Ya Nahi  ?

     *99*99# ye code dailpad me type kar aapka Mobile aapko aasani se bata dega ki aap mobile Aadhar Card se link hai ya nahi. Jaise simply Mobile me *99*99# ye code type kare aur us sim se call kare jisse aapne apne bank account se Register kiya hai.

Jaise hi aap apne ye code type karke Bank Account registered sim se call karte hai, waise hi aapke samne ek flash message show hoga. Jisme aapko no.1 type karna hai.  Yani Aadhar Link Status Option ko select karna hai aur Send button par click karna hai.

Send button par click karte hi aapse 12 digit ka Aadhar number manga jayega. Ab aapko yaha apna Aadhar number type karke Send button par click karna hai. Agar aapka Mobile number aapke se Aadhar Card se link hoga tho aapke mobile ke screen par aapke Bank ki poori details show hogi. Agar aapka Mobile number Aadhar card se link nahi hoga tho Unknown  Applications jaisa error screen par show hoga.

2 : Outgoing Calls Ko Kaise Block Kare ?

        Aaj me aapko ek aisa code dunga jise aap type karte hi aapke saare Outgoing Calls automatic block ho jayenge. Jiske baad koi bhi aapke permission ke bina kisi ko bhi call nahi kar payega. Tho friends jis code ke baare me ham baat kar rahe hai wo code hai *31#

               Jaise hi ye code aap apne mobile me type karoge tho aapke mobile ke saare Outgoing Calls block ho jayenge.

Maanlo ab aapko block calls ko unblock karna hai. Tho aapko mobile par #31# ye code type karna hoga. Jiske baad aapke saare Block Calls Unblock ho jayenge. Friends yakin mano ye code aapke liye bahut kaam ka hai. Is code ko ek baar jaroor try kare.
3 : Kaise Pata Kare Ki GF / BF Ne Hamhare Mobile Me Kya-Kya Use Kiya Hai ?

Friends aksar GF/BF me mobile exchange hote rehta hai. Aise me kahi baar hamhare partner be wajah ke hamhare mobile me jasoosi karna start kar dete hai. Jaise ki Message ko check kar, Call List ko check karna,  Gallery ko check etc.  Aur ye saare kaam finish hone ke baad wo log hamhare Mobile ke saare recent applications ko clear kar dete hai. Aur iska hamhe pata bhi nahi chalta hai ki hamhare GF/BF ne mobile me kya-kya kar rahe the kyuki unhe tho apne smart mind se Mobile ke Recent applications ko clear kar diya hai na

Friends ab aapko apne partner ko mobile dete waqt tension lene ki koi jaroorat nahi hai. Kyuki me aaj aapko ek aise secret code ke baare batane wala hu, jiske baad bhale hi aapke partner ne recent applications ko clear kar diya ho phir bhi aap pata kar sakte hai ki aap ke partner ne Mobile me kya-kya use kiya hai.

● Sabse pehle phone ke dailer ko open kare.
● Phir phone ke dailer me *#*#4636#*#*  ye code type kare.

Hindi Me Infotech
● Jaise hi aapne ye code type karte hai waise hi aapke samne kuch options show honge. Jo aap niche diye image me dekh sakte hai.

Hindi Me Infotech
● Yaha par Usages Statistics option par click kare aur pata kare ki aapke partner ne aapme mobile me kya-kya kar raha tha.

Hindi Me Infotech

Also Read : 

Android Useful Applications For Everyone

●   Mobile Ki Speed Kaise Badhaye ?

I hope aapko hamhara aaj ka post pasand aaya hoga. IS post se related koi sawal hai tho niche comment karke puch sakte hai.

Post a Comment

2 Comments

  1. Hello
    Aapne bahut achi jaankari di hai. lekin mai suggest karunga ki 3 number ke code ke baare me aap alag se ek article Title kuch is tarah rakhe.
    Jaane aapka boyfried ya girlfreind phone me kya use karta hai.
    and then isko short url karke share kare.
    Thanks For sharing. :)
    Yasir

    ReplyDelete