Computer Hardware Common Problems And Solutions In Hindi

Computer me kayi tarah ke problem aati rehti hai aur ham usko repair karwane me bahut saara paisa karch kar dete hai. Lekin choti-choti problem ko ham khud bhi Fix kar sakte hai. Aaj me aise hi kuch Computer ki problems aur unke Solutions ke baare me jankari dene wala hu jisse Follow karke aap Computer ke 75% problems ka Solutions khud Ghar par bhait kar sakte hai.

Computers Se Judi Kuch Common Problems Aur Unke Solutions 

● Computer Start Nahi Ho Raha Hai Aur Continue Beep Baj Rahi Hai 


Problem : System me dust jama hone se RAM me carbon jama ho gayi hai.



Solution : CPU khol kar RAM ko remove  kare aur kisi Eraser se RAM Ke Golden [Metal] ko Clean kare. Aur RAM ko phirse proper insert kare. Continues aane wali beep band ho jayegi aur computer me Display show hoga. 

Note : Friends ye technique sirf Continues Beep par hi kaam karegi. Agar aapke System me Numeric Beep hori matlab 4 Beep, 2 Beep, 1 Beep tho ise kisi or tarike se repair kiya jaata hai. Tho friends uski poori jankari me aane wale post me publish karuga.


● Computer Bar-Bar Restart Ho Raha Hai 


Problem : SMPS [ Power Supply ] me Capacitor Overheat ho gaye hai, ya Leaked ho gaye hai. Jiske wajah se SMPS se Motherboard ko proper Volt Power Mill nahi rahi hai. Jiske karan apka Power Supply Restart Ho Raha Hai Na Ki Computer .
Solution : sabse pehle SMPS Box ko check karke pata lagana padega ki ye sahi work kar raha hai ya kharab ho gaya hai. Agar isme koi problem hoto aap ko ise replace karna hi best rahega.

 SMPS Ko Kaise Check Kare ? 
    Sab se pehle SMPS ko CPU or Motherboard ko alag kare. Phir usme power cable lagani hai. Ab  20 ya 24 pin connector me ya tho 20 pin hoti hai ya 24 pin hoti hai. Isme ek black wire ko green wire ke sath short karna padta hai. Agar short karne se SMPS box me Fan chalna start ho jaye tho ye sahi hai.  Agar Fan nahi chal raha hai tho ye kharab ho gaya hai.  Isko kisi repair shop par repair karwa le ya phir new kharid lena chahiye.

● SMPS Sahi Kaam Kar Raha Hai Phir Bhi PC Restart Ho Raha Hai 


Problem : Agar aapke SMPS me koi problem nahi hai Aur aapka Computer Restart ho raha hai tho Aapka Processor Over Heat ho chuka hai.

Solution : Agar Processor Over Heat hone ke Karan Computer Restart ho raha hai tho 1 se 2 Gante Computer ko Shut Down Karde. Tab tak Processor cool ho jayega. Agar Phir bhi Computer me Restart problem hai tho Motherboard ke upar Cooling Fan ko Remove karo uske ander jitna bhi Dust hai use proper Clean karo kyuki Dust ki Wajah se Fan spin nahi hota hai Aur Processor Heat Hona Start hota Hai. 1st Fan Proper Clean karo phir Processor ke upar Thermal Paste Lagaye aur Fan ko Reinsert kar ke Phir Computer ko start kare aur Problem Fix.

● Computer Me Bar-Bar Blue Screen Aur Computer Restart Hona 


Problem : System me Blue Screen RAM or HDD Kharab hone ke karan Aati hai.



Solution : 1st RAM ko check karo yani aapke Computer me 2 RAM hai tho 1 Rakhe 1 RAM ko Nikal kar sirf 1 RAM par computer start kar ke dekho ki phir se Blue Screen Aa rahi hai ya Nahi. Agar nahi Aa rahi hai tho aapke RAM me problem tho wo Solve ho gayi hai. Agar check karne ke baad bhi Computer me Blue Screen show ho Rahi hai tho Hard-Disk ko Replace karo kyuki 100% me si 70% Blue Screen aane ka karan RAM hai, 20% Hard-Disk Hai, aur 10% Operating system hai.


● Computer Proper Chal Rahi hai, Par Display Nahi Aa Rahi hai 


Problem : CRD or LCD Monitor ya Power Cable Me Problem Hai.

Solution : Agar CRD or LCD ki Power Cable loose hai ya kharab hai tho Monitor Me Display Nahi aayega. Aise me 1st power cable ko change kar ke dekhe, phir bhi same problem hai tho LCD ya Monitor ko Replace karna padega kyuki LCD ya Monitor me problem hai.


●Computer ko Shock Lagna | Current Flowing Through PC Case 


Problem : Computer ko shock lagne karan hai Power Cable. Yani agar aap 2 pin wali Power Cable use kar rahe ho tho Electricity proper Flow nahi hogi aur aapko Jumping Shock lagega.



Solution
: Aap apne PC ke liye 3 Pin Power Cable use kare aapki problem solve ho jayegi. Agar phir bhi current flow ho raha hai tho aapke Electricity Board me kuch problem hai tho Aise me aap apne Computer ki place Change karde.


● LCD Ka Colour Automatic Charge Hona - Red-Blue Green 


Problem : VGA [ Video Graphic Array ] Cable ke pin Tedi hona ya phir Cable Cut hona.


Solution : Cable ko dono aur se yane CPU aur LCD se Tite kare - ho sakta hai Loose Connection ke wajah se Computer ko Proper Connection nahi mil raha hai. Phir bhi same problem hai tho VGA Cable ke pins ko dekho  koi na koi pin Tedi huwi hogi jiske karan us pin se nikhalne reserve color LCD  ko mil hi nahi raha hai. Isliye Computer us color ko skip kar baaki ke saare colors accept kar raha hai. Iska solution sirf ek hi hai VGA Cable ko change kardo aur Problem solve ho jayegi.


● CPU Fan Chal Raha Hai Par No Display Aa Raha hai 


Problem : Ram or Motherboard Problem


Solution
: Agar aapka Computer  start ho raha hai. SMPS Fan chal raha hai phir bhi No Display aa raha hai tho 1st Computer se RAM ko nikhalo aur Eraser se clean karke reinsert karo [ 100 me si 60% No Display aane ka karan RAM hai ] RAM ko clean karne ke baad bhi No Display aa raha hai tho aapke Motherboard me problem hai.

Also Read : 

Mobile Repair In Hindi

● Laptop Overheating Problem Kaise Fix Kare ?

Friends umeed karta hi aapko hamhara post hoga tho agar aapk Computer related koi bhi problem  ho to hamhe niche comment me bataye 100% aapki problem door karne ki koshish karuga.

Post a Comment

3 Comments

  1. usb not device recogzning ka solutions

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete