Cyber Crime | Law | Security Kya Hai | Cyber Crime Se Kaise Bache ?

Friends aaj kal internet me aise-aise hackers hai, jo ki dekhte hi dekhte hamhare accounts ko hack kar sakte hai. Tho ham is type ke Cyber Criminals se kaise bache, aur ye Cyber Crime kya hota hai, aur hamhe Cyber Law ki kyu jaroorat padti hai. Is sab ke baare me janne ke liye aap ye poora post padhe.

Hindi Me Infotech

Cyber Crime, Cyber Law & Cyber Security Kya Hai?

Friends aapne Cyber Crime ya Cyber Law or Security ke baare me sunna hi hoga. Ye theeno ek aisi cheeze hai, jo har Cyber Security Experts ya phir Ethical Hackers ke life se judi rehti hai. Aur iski jyada se jyada jankari  ek Ethical Hacker ko rehti hai.


Cyber Crime Kya Hai ?

Is baat par ham koi shakh nahi kar sakte ki Internet din ba din poori duniya me failta jaa raha hai. Har umra, jaati, aur dharm ke ke log  aaj Internet ka use karte hai. Kyu ki Internet bahut saari services jaise Shopping, E-Study, E-News, Internet Banking, emails,location etc. Kisi bhi cheez ko pata karna hai tho ham sabse pehle Internet par search karte hai.

Hindi Me Infotech

Lekin har sikhe ke do pehlu hote hai. Aur duniya me kuch ache log hote hai aur kuch bure log bhi hote hai. Waise hi Internet par kuch ache log hote hai aur kuch bure.

Jo bhi Internet par Information churakar ya kisi information ko hack kar uska galat istamal karte hai. Tho un hackers ke dwara ki gayi dhokadhadi ko ham Cyber Crime Kehte hai.

Cyber Crime Kitne Type Ke Hote Hai ?

● Hacking
● Virus Dissemination
● Denial Of Service Attack
● Computer Forgery
● Credit Card Fraud
● Email Spoofing
● Child Pornography
● Online Gambling
● Financial Crime
● Cyber Stalking
● Threatening

Cyber Law Kya Hai? 

     Friends jaise-jaise ham technology field me aage badte jaa rahe hai. Waise hi internet me Scam, Fraud, Cyber Crime bahut jyada bad gaya hai. Tho friend usi crime ko rokne ke kiye 2000 me IT Act ke tehat kuch khanoon banaya gaya hai. Jisme Cyber Crime karne walo ko saza di jati hai.

Har ek Ethical Hacker ko Cyber Law ke ander reh kar kaam karne padta hai. Matlab jo Cyber Law me Act bana hai usse todne par hamhe saza di jati hai. Aur ham Cyber Criminals ki category me aate hai. Tho chaliye jante hai cyber crime me kon-kon se crime aate hai ?


Cyber Crime Me Kon Kon Se Crimes Aate Hai?

  1. Bina permission kisi ke computer ko access karna. Unke data ke sath ched chad karna ya unke data or files ko delete karna. Ye sab Cyber Crime me aata hai.
  2. Kisi ke accounts ko hack karna ya bina permission ke social accounts ko open karna.
  3. Kisi ko online me fraud karna ya phir kisi ki bank ki details lena.
  4. Kisi ke computer ya mobile me Virus ka attack karna.
  5. Kisi ke personal documents ya photos / video ko leak karna.
  6. Kisi ke emails ko trace ya track karna.
  7. Social religion se judi koi bhi galat activity ko post karna.
  8. Kisi ko msg ya call karke gali dena.
  9. Kisi ka galat live video banana ya photos lena bhi crime hai.
  10. Child pornography ya porn video banana.
  11. Songs, Movies ya koi video ka piracy karna. Ya uska dvd bana kar shell karna.
  12. Bina permission ke koi bhi website ko hack karna. Ya online blackmailing karna.
  13. Kisi ka laptop, mobile,ya computer ke gadgets ko chori karna.
  14. Kisi ke Computer ya Mobile ko physically damage karna.
  15. Social sites par galat post karna jaise naked ya adult video / photo ko post karna.

Cyber Security Kya Hai?

         Friends Cyber Security matlab Internet Security hoti hai. Jo internet ke jariye hamhe protect karte hai. Ye Ethical Hackers ke under aati hai. Jo online ho rahi crime ko rokti hai. Computer ko virus se secure karti hai. Yaha tak ki hamhare internet ki data ko protect karti hai aut unhe safe rakti hai.


Aaj poori duniya me internet ke kitne user hai. Par iske sath-sath internet me hacking bhi kitna bad gayi hai. Isiliye har jagah par Cyber Security par dyan diya jata hai.



Cyber Crime Se Kaise Bache?

  1. In sabse bachane ke liye aap Antivirus install karle jo best ho. Aise na ho ki aap kisi aise Antivirus ko install karde jo apki hi information kisi ko bhej raha ho. Antivirus install karne se pehle uske review check karke hi Antivirus ko use kare.
  2. Apna password ek mahine me 3-4 time badalte rahe.
  3. Credit Card ki information kisi bhi unsecured website par na dale.
  4. Jo bhi apke computer me unnecessary software installed hai. Unhe uninstall karde. Kabhi-kabhi ye hota hai ki aap ek software install kar lete hai. Aur uske sath ek-do aur install ho jate hai. Jo kaam ke software nahi hai unhe uninstall karde.

Cyber Crime Ki Saza Kya Hai?

Friends upar batai gayi koi bhi Cyber Crime me se koi bhi crime aap karte hai. Tho aap Cyber criminal hai aur uske liye aapko 2-5 saal tak saza ho sakti hai. Aur sath me 5,00,000-1,00,00,00 tak ka jurmana bhi ho sakta hai. Tho aap aisa koi bhi kaam na kare.

Also, Read :

● Internet Par Hone Wale Crimes

Online Shopping Me Dhokadhadi Se Kaise Bache ?

Is post se aapka koi bhi sawal ho tho aap comment kare. Aur is post ko aapke friends sath social media par jyada se jyada share kare. Taki har ek ye jankari mill sake.

        Thanking You 

Post a Comment

0 Comments