How To Unlock Android's Pattern | Pin Lock In Hindi

Friends agar aap Android Mobile user ho tho aap apne Smartphone me pattern lock ko jaroor use kiya hoga. Kyuki ham nahi chahate ki hamhara phone ka personal data koi aur dekhe ya chura le, bahut baar aisa hota hai ki ham apne phone me Pattern lock ya Pin lock lagakar bhul jate hai ya phir hamhe yaad nahi rehta ki hamne kya lock lagaya tha. Aur hamhe na chahate hue bhi apne Smartphone ko repair store par le jana padta hai aur Mobile phone repairing karne wala lock ko todne ke liye 300-500 charge karta hai. Aur hamhe majburi me lock ko unlock karne ke liye mobile shop wale ko paise dene padte hai.

Jyadatar Smartphone user Pin lock ke mukable Pattern lock ka jyada use karte hai. Kyuki ye dusre lock ke mukable jyada secure aur simple hota hai. Lekin kuch log Pattern lock me bahut jyada Zig-Zag use karte hai. Jisse yaad rakhna bahut mushkil hota hai. Isi wajah se Android user aasani se apna pattern lock bhul jate hai.

how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock

Friends aaj me aapko 2 tarike batane ja raha hu jisase aap apne Pattern lock ya Pin lock aasani se unlock kar sakte ho.

Friends Android Phones jaise Samsung, HTC, Nokia, Lenovo, Xioami jaise sabhi mobile me High Security hoti hai. Isiliye agar aap  Pattern ya Pin lock ho gaya hai. Aur aap password bhul gaye hai tho aapke Smartphone ka lock todne par aapka saara data format ho jayega.

Isiliye phone ka lock todne se pehle aap apne mobile me se Memory Card aur Sim Card nikhal le, isase aapka memory card ka data safe rahega.

Me aapko jo tarika batane jaa raha hu wo bahut hi aasan hai aur ise aap ghar par hi kar sakte hai. 

Android Mobile Ka Pattern | Pin Lock Kaise Thode ?

     Friends agar aapke aapna mobile Hard Reset karna chahte ho tho Hard Reset karne se pehle check karle ki aapka mobile minimum 50% charge ho. Kyuki agar aapka phone charge nahi rahega tho Hard Reset ki process ki time agar aapka mobile low battery ke karan off ho jaata hai. Tho mobile ki Operating System ki file corrupt ho sakti hai aur aapka phone dead bhi ho sakta hai. Isiliye dyan rakhe aapka mobile me minimum 50% charge ho aur jab mobile Hard Reset ho raha ho tho battery remove karne ke galti na kare.

● Mobile Ko Flash kaise Kare ?

Pattern Ya Pin Lock Ko Todne Ka Tarika 1

Friends Android Phone Ko Unlock Karne Ke Liye Niche Ke Steps Ko Ache Se Follow Kare.

● Ab Sabse pehle Mobile ko Switch Off kar dijiye.

● Switch off karne ke baad Recovery mode ko on karne ke liye Volume up/down button + Power button ko ek sath dabaye rakhe.

● Jab aap recovery mode me enter karenge tab aapki touchscreen kaam nahi kareg. Isiliye aap upar - niche karne ke liye Volume up / down buttons or option select karne ke liye Power button ka use kare.

● Recovery mode me kuch options show honge unme se aapko Wipe Data/Factory Reset option ko select kare.

how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock

● Ab aapki reset process start ho jayegi or kuch hi minuto me aapka Smartphone poori tarah se reset ho jayega. Aur aapka lock bhi unlock ho jayega.  

Fully reset ke baad aapka mobile ek dam naye phone jaise hoga. Hard Reset  baad aapka mobile me Google account mangega. Jisme aap apne gmail ki User Id aur Password enter kare aur aage jo option aate hai unhe  follow kijiye aur aapka mobile start ho jayega.

Friends umeed karta hu ki jo process maine batai hai. Aap aise hi karenge tho aapka phone Hard Reset ho jayega.

 ● Android Mobile Useful Applications

Pattern Ya Pin Lock Ko Todne Ka Tarika 2

    Friends aap aapne phone ko unlock karne ke liye Gmail Account ka bhi use kar sakte hai.  Gmail account se unlock karne ke liye aapko wo Gmail account yaad hona chahiye jo aapne mobile me register kiya hai. Tho friends chaliye dekhte hai, ki apne gmail account se pattern lock mobile ko unlock kaise kiya jata hai.

● Friends sabse pehle aapko apne Pattern lock mobile me mobile data ON karna hoga. Agar aapka mobile lock bhi hai tho bhi mobile aapko Data ON karne ki facility deta hai.

● Laptop , Computer ya Mobile me aap apna gmail account ko open kare jis gmail account se aapka mobile connected hai. Aapka gmail account open hone ke baad aisa Window show hoga.

how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock


● Aapke samne jo Window show rahi hai usme Find User Phone par click kare.

how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock










● Friends is Window me aapka mobile jo bhi hai use select karle, is Window me wo saare mobile dekhayi denge jisme aapka ye gmail account connected hai.
how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock

●  Friends jab aapne hard reset karne wala mobile select koroge tho aapse gmail ka password dubara manga jayega, password enter karne ke baad sign in par click kare.

how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock


● Iske baad Ring Icon par click kare. Agar aapka gmail account aapke mobile se connected hai tho aapka phone Ring ho jayega aur aapka mobile Hard reset hone ke liye tayar hai. Iske baad aap niche diye Consider Erasing You Device par click kare.

how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock
how-to-unlock-androids-pattern-pin-lock

●  is Window me Yes Erase par click kare. Aur aapka mobile automatic reset hona start ho jayega.
                       Hard Reset Process katam hone baad aapka mobile start ho jayega aur aapko ko phir se gmail account mangega, ab aapko wo Gmail account se login karna padega jo Hard Reset karne ke pehle Mobile se connected tha.

Also Read : 

 ●  Mobile Repair Tips
 ● Android Mobile Ko Root Kaise Kare ?
   Friends aapko ye jankari kaise lagi hamhe comment karke jaroor bataye. Friends aapko is post se related koi bhi sawal hai tho aap hamhe comment karke puch sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments