Friends kali linux ek bahut hi popular operating system hai. Jise sabse jyada hacking ke liye use kiya jata hai. Kali Linux aap Android Mobile me Install karke koi bhi hacking perform kar sakte hai.
What Is Kali Linux | Kali Linux Kya Hai ?
Kali Linux debian se inherit kiya hua Linux Distribution hai [ Debian ek Computer operating system hai. Jisse Kali Linux Bana hai. Linux Distribution ko Disto bhi kehte hai. ] Ye O.S Software Collections se bana hai. Kali Linux ka use Digital Forensics aur Penetration testing me hota hai. Aur ise sabse jyada hacking me use kiya jata hai.
Simple word me kahe to Kali Linux ek O.S hai Jo Linux Family se belong karta hai. Jaise Windows XP, 7, 8 aur Windows 10 Windows family se belong karta hai.
Kali Linux Android Mobile Me Install Karne Ke Requirements
1 > Device Ka Version minimum 2.1 or isse jyada hona chahiye.
2 > Aapka Mobile Rooted hona chahiye
3 > Aap ke Android phone 75% charge hona chahiye
4 > aapke Mobile me minimum 4gb free space hona chahiye
5 > Busy Installer [Download]
6 > Linux Deploy [Download]
7 > Android VNC Viewer [Download]
8 > High Speed Internet Connection
Android Phone me Kali Linux ko Install karne ke liye aapko 4 Steps ko ek-ek karke Complete karna hoga
#Step 1 : Root Your Smartphone
Sabse pehle aap ko apne Android smartphones ko root karna hoga agar aapka mobile rooted hai tho aap step 2 ko follow kare, warna niche diye link se apna phone root karle.
● Android Phone Root Kaise Kare [ With or Without Pc ]
#Step 2 : Install BusyBox
Apne Mobile ko root karne ke baad us me BusyBox application ko Download karke install karle. BusyBox Installer ka use karke UNIX Script ko apne Android device me Install karna hoga.
Install button par click kare aur BusyBox successfully installed ho jayega.
#Step 3 : Install Linux Deploy
Upar ki dono steps ko complete karne ke baad ab last ke 2 steps ko bahut carefully complete karna hoga. Neeche bataye gaye points ko theek se follow kare.
- Sabse pehle Linux Deploy apk ko Download karke install karle.
- App ko open kare and Download button par click kare.
- Ab Properties me jaye aur Distribution option me Kali Linux option ko select kare.
- Ab apna Installation Path ko choose kare.
- Ab screen ke top par jaye aur waha Install option par click karo.
Install button par click karne ke baad Kali Linux download hone tak wait kare. Yah aapke internet connection par depend karta hai ki wo software kitne time me download karta hai.
#Step 4 : Install VNC Viewer
- Sabse pehle VNC Viewer application ko Download karke install kare.
- VNC viewer ko open kare aur Ab hamhe kuch settings karni hai.
- Add new connection par click kare.
- Address me localhost aur name me kali set kare.
- Ab Connect button par click karde.
Congratulations Aapke Mobile par Kali Linux Properly Install ho gaya hai. Ab aap apne Android Mobile se Kali Linux ko use kar sakte hai aur Hacking kar sakte hai.
Agar aapko apne mobile me Kali Linux Install karne me koi problem ho rahi ho tho aap comment me puch sakte hai. Agar aapko ye article pasand aaya ho to ise social media par share karna na bhule
Thanks For Visiting
4 Comments
sir kali kha se download kre link bhejo
ReplyDeleteClick here and download Kali Linux
DeleteBhai mobile ke liye konsi file download kare aur computer ke liye konsi....
ReplyDeletemobile ke liye wo aap is application madad se download kar sakte ho aur computer ke liye iso file download kare
Delete