BIOS Ko Flash | Programming Kaise Kare

Hello Friends BIOS [Basic input/output system] ka sab se important kaam yaani computer ko start karte waqt  self instructions dena hota hai. Matlab Computer me sabhi hardware & Software sahi tarah se work kar rahe hai ya nahi, agar self test karte time koi par problem paayi  jati hai tho use thik karne ke liye BIOS hamhe ek code provide karta hai. Jo beep sound ke roop me hota hai aur ye beep sound hamhe computer start karte time sunayi deta hai.


Iske sath-sath BIOS chip CPU ko basic information deti hai ki Computer se Connected in particular part me problem aa rahi hai. Tho isi tarah computer start hone se lekar shutdown hone tak BIOS ka bahut important role hai. Friends aaj ke post me ham janenge ki BIOS  hamhe flash or programming karne ke jaroorat kyu hoti hai aur ise kaise kare ?



Bios Flash [ Programming ] Kaise Karte Hai ?

bios-ko-flash-kaise-kare



Friends bios ko flash karne se pehle aap ko pata hona chahiye ki bios ko flash kyu karte hai. Jaise ki, agar aapne  chip-level course kiya hai ya aap board repair karna jante ho tho simple si bath ki aapko bios ki jankari hogi. Par jinhe BIOS programming ki jankari nhi hai unke liye aaj ka ye post bahut helpful rahega.

Friends most of time computer me Display nahi aane ka karan bios related problem ho sakti hai.



Friends agar aap ko BIOS ko flash karna hai tho sabse pehle aapke pass bios programming kit hone bahut jaroori hai. Jo ki market me 4500-5500 rs ke karib available hai. Jisme aapko bios programming related saari kits mil jayenge jaise ki

  • Bios programming 
  • Flashing Board
  • Drivers CD
  • USB cable

Ab aap ko computer se BIOS IC ko hot air gun se Remove karna hai aur use theek tarah se bios programmer ke upar lagana hai.


BIOS programmer ke upar lagane ke baad simply device ko computer USB ke connect kare aur bios programmer ke drive ko install kar use open kare.
[bios programmer ke alag-alag software hote hai jo har device ke model ke according hote hai]



ab programming kit ke sath jo software cd mili hogi use computer me Install kare open kare.

 Note :  Friends ek baat hamhesha yaad rakhe jabhi bios ko flash karoge tho uske pehale bios ke purane program ka backup lena bahut jaroori hai, kyuki agar new program computer par proper work nahi ho raha hai ya phir koi aur problem aa rahi ho tho ham purane bios program ko phir se restore kar sakte hai.

● How To Remove/Unlock Memory Card Password In Hindi
● Crack Computer Password Using CMD Command In Hindi


Bios ka backup kaise lete hai



Sabse pehle bios ic ko bios programmer par laga kar device ko computer me connect kare aur software ko open kare phir smart identify button par click kare. Identify hone ke baad save par click kare. Save button par click karte hi aapko puch jayega ki bios ka data kaha pe save kiya jaye tho aap apne hisab se data ko kahi par bhi save kar sakte hai.


Friends bios ka backup lena koi badi baat nahi hai bass aap upar diye steps ko ache se follow kare aur aapke bios ka backup ban jayega.




Bios programming kaise kare 

1 > friends bios flash karte time sabse pehle aap internet se bios chip ke model according flash file ko Download karna hoga aur us file ko desktop par save kare.

Note: yaad rakhe aapko same bios chip ke model ke naam se hi bios flash file download karna hai.


2 > Ab bios  software ko open kare aur Open button par click kare. Jaise hi aap open button par click karoge tho aap ko Download kiye new bios program ke baare me pucha jayega tho aap us file ko select kare aur open kare.

Phir Write button par click kare aur aapka bios flash hona shuru ho jayega.

Also read : 
Friends isi tarah ham kisi bhi Computer ya phir laptop ke BIOS ko programming kar sakte hai. Tho  umeed hai aapko hamhare ye post pasand aaya hoga, agar aapke liye ye post helpful hai to social media par apne friends ke share jaroor kare.

Thank You For Reading

Post a Comment

2 Comments

  1. It is really very rare topic. Hats off to you. Thank for sharing. What basics do we need to learn BIOS programming ? And where can we learn ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. To learn BIOS programming you should learn low level language as basic and you can learn it online or you must join tutorial class near by you

      Delete