Gmail ID Hack Hone Se Kaise Bachaye|Emails Secure Kaise Rakhe?

Hello friends kya aapko pata hai Gmail Account kya hai, agar nahi tho koi baat nahi Gmail Ek Google ka Product hai. Jis par ham log email id bante hai email send karne ke liye. Gmail ek bahut hi popular email service hai aur ye popular hone ke wajah se Hack bhi jyada hota hai. Gmail par id banana bahut hi aasan hai, but kya aapko pata hai jo id aapne banayi hai wo kabhi bhi hack ho sakti hai aur aap ko bahut bada nuksan bhi ho sakta hai.



Gmail id ko hack hone se bachane ke liye Google bahut saare tarike de rakha hai. Jiska use kar aap aasani se apne Gmail Account ko secure rakh sakte hai. Agar aapbhi apne Gmail ko secure rakhna chahate ho tho niche ke step ko follow kare.

● Technology Trick For Daily Life In Hindi
 Hacking Kya Hai | Kya Ye Legal Hai | Ya Illegal ?

Gmail ID Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye | Email Safe Kaise Rakhe ?

gmail-id-hack-hone-se-kaise-bachaye

Google products ko hack karna bahut hi muskil hai, lekin hacker ke liye koi bhi kaam muskil nahi hai. Isi liye aap jitna ho sakhe apne account ko secure karke rakhna hi samaj dhari hai.


1 > Turn On Two Step Verification


two-step-verification-gmail

Har ek online account ke liye 2 step verification bahut jaroori hai. Agar aapke Gmail id par 2 step verification enable nahi tho aap abhi apne Gmail par enable kare. Kyuki two step verification enable karne se agar aapka password kisi ko pata bhi ho tho wo aapke account me login nahi kar payega. Kyu ki aap ke mobile par OTP code aayega us code ko type karne ke baad hi login hoga.


2 > Grant Access To Your Account Check 

grant-access-to-your-account

Agar aapko lagta hai ki aapka Account hack ho chuka hai tho aap sure hona chahte ho ya phir apne account ko bachana chahate ho to sabse pehle SettingAccount And ImportantGrant Access To Your Account option par jakar check kare ki koi dusra Email Id add hai ya nahi, agar koi email add hai tho use immediate remove kare.



3 > Check Unauthorized Access 

check-unauthorized-access

Hamhesha check kare ki Aapka Jo Gmail Account hai wo kisi browser ya phir kisi website par connected hai ya nahi, Agar aapko lagta hai ki aapki id kisi aise device ya Brower se login huwa hai jo aapka nahi hai. Tho aap us device ko remove kare. Remove karne keliye niche diye link par visit kare. Uske baad account login kare. Aapke samane jo apps apke account se connected hai wo saare show ho jayenge. Aapko lagta hai ki aapka login kiya huwa site ya app nahi hai to use remove kare.
Click Here To Remove Unauthorized Access

● Facebook Par Fake ID Ka Kaise Pata Lagaye ?

4 > Create Very Strong Password 

Jab aap new Gmail Id Create karoge tab us par strong password use kare. Kaafi log apne Account par Name ya phir Mobile number type ke password use karte hai. But ye galat hai aap password me symbol [@#$^&*] use kare aapka password strong hoga aur aapki id hack hone se jyada secure hogi.


5 > Anjaan Mail Ko Avoid Kare 

Aisa kayi baar hota hai ki Anjaan I'd se aapko Mails aate hai. Wo aapse reply ya aapki jankari mangte hai. Aap un emails par dyan na de. Aise mail hackers send karte hai. Unhe block karde.

 Phishing Attack Kya Hai,Kaise Bache ?

6 > Account Ko Hamhesha Logout Kare 

Kaafi user account login karne ke baad logout na kar Brower ko close kar dete hai. Ye sabhi badi mistake hai. Hackers kisi bhi tarike ko use kar aapke account ko hack kar sakte hai aur aapko pata bhi nahi chalega. Aap jabhi account login karoge tho kaam katam hone ke baad logout bhi jaroor kare.



7 > Check My Account Settings 

Agar aapko apne Gmail Account ko hacking se bachana hai tho aap hamhesha my account ko check kare. My Account par aapko Apps with Account Access, Control Your Content, Security Check up, Privacy Check up etc. Sab option mil jayenge. Isi liye is option ko check karna bahut jaroori hai. Aapko kuch bhi gadbhad lagta ho to aap turant password change kare.

Also Read :

● Anjane Me Internet Per Hone Wale Crime
● Online Shopping Me Dhoka Dhadi Se Bachne Ke tips

Friends umeed karta hu aapko ye post aayi hogi, agar sach me aapke liye ye post helpful hai tho social media par apne friends ke sath share jaroor kare.

Thank You For Reading...

Post a Comment

0 Comments