ISO Image File Kya Hai | Windows ke liye Image File Kaise Banaye ?

Friends aaj ham janenge ki ISO File Kya Hai Aur Kaise Banaye. Ye file jyadatar Operating System ke liye use ki jati hai. Iski madad se ham kisi bhi file ko bootable bana sakta hai jaise ki Windows, Games, etc. Isi liye aaj ham dekhenge ki ISO file kaise banate hai ?



Friends kahi baar aisa hota hai ki Computer ya Laptop par kuch technical problem aati hai. Jiske karam hamhe hamhara computer ko format kar Windows ko reinstall karna padta hai. Agar aap apne PC me heavy work karte hai tho aapko ye problem bar bar aati hai. Aur aise me hamhare pass Bootable DVD nahi hoti, isiliye ham bootable CD banate hai. Par aap jante honge ki  Bootable CD banane ke liye hamhe ISO file ki jaroorat padti hai. Tho chaliye jante hai ki ISO Image File Kaise Banate hai.

● Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye Full Guide
Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Istamal Kare ?

Windows Ke Liye ISO Image File Kaise Banaye ?



Friends agar aap kisi bhi DVD disk ya phir folder ki ISO file create chahate ho tho uske liye aapko ek Software ka istamal karna hoga, jiska name hai Imgburn ye ek bahut ho badiya software hai ISO file create karne ke liye.

Step 1 : sabse pehle aap ko Imgburn software ko Download kar Install kare [ ye ek free software hai aur iska size bhi kaafi kam hai]

Step 2 : Ab Imgburn software ko open kare.

Step 3 : Jaise hi aap ise open karoge aap ke samane kuch options dekhayi denge. Aap niche Image me dekh sakte hai.


Step 4 : Agar aapke pass pehle se Windows ki disc hai aur aap uski ISO file create karna chahate hai. Tho simply Create File From Disc par click kare. Agar aap kisi folder ka ISO banana chahate ho tho second  option Create Image File From File/Folder par click kare.


Step 5 : jaise hi aap dono me si koi ek option ko select karoge tho aapke samane kuch aur option show honge aap niche dekh sakte hai.


  • Source : Aapko yaha Windows CD/DVD ya phir wo Folder jo aap ISO file banana chahte hai wo select kare.
  • Destination : Yaha par aapko ISO Image File kaha pe save karna hai wo select karna hai.
  • Last me Build Icon par click kare.



Friends aaj aapne jana ISO File Kya Hai ? ISO File Kaise Banate hai. I hope aapko ye post pasand aaya hoga agar ha tho is post ko apne friends ke sath social media par share jaroor kare.

Post a Comment

0 Comments