Hello friends computer me Windows 10 install karne ke baad use activate karna hota hai. Windows 10 ko activate karne ke baad hi aapko iske full features access milta hai aur aap isko customize kar sakte hai, bina Windows active kiye aap Windows 10 me user profile picture tak change nahi kar sakte hai. Isi liye ise activate karna jaroori hai.
Bahut se log apne PC me Windows 10 install tho kar lete hai. Par use Activate nahi kar pate hai. Kyuki wo Internet ya kahi se Windows 10 ki copy file download karke apne PC me install karte hai jo ek pirated file hoti hai aur wo file pehle se hi kisi system me activate ki hue hoti hai.
Windows 10 ko free me Activate karne ke liye hamhe ek Patch File apne Computer me Install karna hota hai. Waise ye patch file ko ham Windows Activator ke naam se bhi jaante hai. Jo Internet par bahut easily mil jata hai. Ise aap ko Download karna hai aur apne PC me Install karna hai.
Free Me Windows 10 Activate Kaise Kare ?
Step 1 : Sabse pehle apne Computer me Windows 10 Activator KMS file ko Download kariye.
Step 2 : ab us KMS file open kariye ye zip file hogi isiliye aap ise Extract karna hoga.
Step 3 : extract karne ke baad KMS Autonet file ko open kare aur ab aapke samane ek Activator Window open hogi. Aapko Activation Button par click karna hai.
● Crack Computer Password Using CMD Command In Hindi
Step 4 : Activation Button par click karte hi ek or window open hogi. Ab isme aapko Activate Windows par click karna hai. Agar aap MS Office ko bhi activate karna chahte ho tho is activator se kar sakte hai.
Bas aap ka kaam ho gaya hai. Ab aapko kuch seconds wait karna hai aur aapka Windows Activate ho jayega aur aapko ek confirmation message milega. Aap confirm ke liye This PC par Right click kare aur Properties button par click kare. Yaha par aap check kar sakte hai ki aapka Windows Activate hai ya nahi.
Tho friends aapne dekha Windows 10 activate karna kitna easy hai. mai aapse ek baa kehna chahunga ki Windows ki pirated CD use karna thik nahi hai. Agar aapke pass paise hai to aap Microsoft ki website me jaakar Windows 10 ko buy kar sakte hai aur agar apke paas paise nahi hai tho unse BUG dundhane ke liye Windows 10 le sakte hai.
Microsoft apne user ko BUG dundane ke liye unhe apna Windows free me deta hai jiska use aap apne Computer me kar sakte hai. Bass apko unhe mail karne ki jaroorat hai aur aap Microsoft se free me Windows 10 pro ko install kar sakte hai.
Also Read :
Friends i hope aapko hamhari ye aaj ki post pasand aayi hogi, agar aapko windows 10 Activator se related kuch sawal ho ya phir Window activate karne me kuch problem ho tho aap hamhe comment kar puch sakte hai.
Thank You For Reading...
0 Comments