Hackers Use Karne Wale Hacking Techniques

Hello friends ek hacker apne victim ke mobile ya computer ko hack karne ke liye bahut se Hacking techniques ka istamal karta hain. Phir wo koi bhi hacking techniques ho jaise ki Phishing Attacks, Social Engineering, Keyloggers, etc. Aaj mein kuch apko Hacking Techniques ke baare me batane jo hackers aapke system ko hack karne me use karte hai.



Hacking  Techniques [ Hacking Methods ]


hacking-techniques

#DoS Attacks [ What Is DoS Attack ]

DOS ( Denial Of Service ) Attack se hacker bina kisi  Internal Access ke hi Network down kar sakte hai. Isme routers ko control karke unpe traffic send kiya jata hai jo packets, E-mail, ya fir TCP kuch bhi ho sakta hai. Traffic achanak increase hona ke karan ya ek sath bahut si request aa jane se network crash ho jata hai ya down ho jata hai. Ise Dos Attack Kehte hai.
#Sniffing



Sniffing matlab network me jo bhi TCP packets hai unpe interception attack karna ye interception simple eavesdropping ya kisi aur sinister se ki jaa sakti hai

Hacker Kaise Bane | Hacking Sikhne Ke Top 10 Tips

#Distrusted DoSs 

Distrusted Doss (DDoSs) multiple sources se kiye jaane wala multiple DoS attacks hai. Ek DDoSs attack ko rokhna ya block karna bahut jyada mushkil hai. Kyun ki isme multiple changing, source IP Addresses use kiye jaate hain.

Hackers Use Karne Ke Top 7 Operating Systems

#DNS Spoofing 

DNS (Domain Name System ) Spoofing computer system ka hi ek hissa hain. Jisme kisi domain name ko kisi incorrect address par divert kiya jaata hai jiske karan hamhara system hackers ke system par divert karte hai. Iske through Address Resolution Protocol me Poison Inject kiya jata hai. Is attack pata lagana bhi mushkil hota hain. Is attack ko Firewall ya phir Antivirus bhi pata nahi laga sakte hai.

Cyber Crime | Law | Security Kya Hai | Cyber Crime Se Kaise Bache ?

#SQL Injection

Yeh ek code injection techniques hai or ye application database layer ki security ki vulnerability ko control kar sakti hai. Isme database ko access karne ke liye Normal SQL Commands use kiye jaate hai.

Top 7 Hacking Apps For Without Rooted Android Mobiles In Hindi

#Back-Door 

Hackers koi bhi Network me ya kisi system me back door administrative shortcut, configuration error, or unsecured connections ko access karke uspe control kar lete hain. Computerised searchers means bots ki madad se Hackers koi bhi system ya kisi bhi Network ki vulnerability ko search karke uska fayada utha sakte hai.

How To Hack Any Android Phone Using Kali Linux In Hindi

#Virus And Worms

Yah ek program hota hai jo apne aap replicate karta hai means Self Replicating program yaa ek code hota hai jo khud kisi dusre program me ya kisi machine se attach kar leta hai. Viruses aur Worms ye dono hi Network ya System ko Shutdown ya damage Karne ki koshish karte hai.

FatRat Tool Kya Hai | Iski Madad Se Android Phone Kaise Hack Kare ?

#Trojan Horses - RAT [ Remote Administration Tool ]



Ye dikhne me normal Windows program jaisa dikaayi deta hai jab hum koi online website se koi software ya koi file download karte hai tho ye usme chupke aata hai jab hum us file ya software ko open karte hai tho Trojan Horse bhi run ho jata hain aur hamahre system ko poora control kar leta hai.

WhatsApp Ke Database Decrypt Kar Personal Data Ko Kaise Dekh?

#Keylogger

Keylogger ek tarah ke malware hi hai. Jaise spyware hota hai usi tarah se keylogger hota hai. Ye bhi ek type ka software ya program hota hai Jo kisi computer ya smartphone me jane ke baad keyboard se jo bhi type karte hai unhe ye record karta hai aur hackers ke pass bhej deta hai.

Password Hacking Techniques In Hindi




● Bruteforce Attack 

Brute Force ko hum Dictionary attack bhi kehte hai. Kyun ki is techniques me aapke account par bahut saare password ko ek sath try kiya jaata hai. Jo ki ek file me save hote hai is file me random character,numbers,special character ki ek bahut lambhi list hoti hai. Jisko kisi software ya kisi script ke jariye aapke account ke uper password try ki jati hai. Aapka password jitna easy hota hai utne hi kam time lagta password match hone me aur aapka account hack hone me.



Is attack se aap kisi bhi Login Site ya WiFi ko hack kar sakte hai. But isme koi bhi time fix nahi hota, victim ka password crack hone me 5 min bhi lag sakte hai aur 5 din bhi lag sakte hai.


Social Engineering

Friends Social Engineering Techniques ko hum Spam bhi bol sakte hai. Aapne aksar dekha hoga ki koi unknown person call karke aapse bolta hai ki hum aapki bank se baat kar rahe hai aur aap ki ATM ki validity katam ho gayi ya kuch aur bolke aapke ATM numbers mangte hai magar real me aisa kuch nahi hota aur aap use apna ATM number bata dete hai ise hum Social Engineering Techniques bol sakte hai.

Online Shopping Me Dhoka Dhadi Se Bachne Ke tips

Phishing Attack 

Phishing Attack par humne pehle hi post ki hai aap ise niche diye link par click kar padh sakte hai.


Cookie Stealing

Cookie ek aisi file hoti hai jo hamara browser apne ander save kar leta hai. Is file wo sab password save hote hai jo hamne browser me istamal kiye huwe hote hai. 



Ab Cookie Stealing me hacker kya karega wo aap ko koi images, koi link, koi file ya kuch bhi send karega to wo images ya jo bhi cheez apko send kar raha hai us mein aisi script add ki rakhi hogi jo aapko nazar nahi aayegi lekin jab aap uspe click karenge aapka system unko recognize karega aur send karne wale hackers ko apki Cookie dega jisse wo aapke account ko access kar lega.
DNS Poisoning or Pharming 

Is techniques me phishing attack ka ulta use hota hai. Hum victim ko apne page ya website par redirect kar sakte hai.

Gmail ID Hack Hone Se Kaise Bachaye|Emails Secure Kaise Rakhe?

Whaling 

Is method me ek hacker ka account hack karte hai. Means ek hacker jab dusro ke password save karne ke liye jo account use karta hai bass aapko wo account hack karna hai aur aapke pass bahut saare account ke password honge
Friends ye thi kuch hacking techniques ho hacking me use ki jaati hai. Umeed karta hu aapko hamhare  aaj post pasand aaya hoga. Agar is post se related koi doubt aapke mann me ho to aap comment kar puch sakte hai.




Post a Comment

0 Comments