Internet User Ke Liye Top 39+1 Computer Shortcut Keys

Hello friends aaj mai aapko bataunga ki Internet chalate waqt kin-kin Shortcut Keys ka istamal kar ke hum aasani aur jaldi hamhara kaam poora kar sakte hai. Waise tho har kaam Computer me bina Mouse ke bhi kiya jaa sakta hai. Jiske liye sirf aap ko un Shortcut Keys ko yaad rakh lena kaafi nahi hain, aapko un Shortcut Key ko apne kaam me istamal karna avashyak hai. Jisase aap bina Mouse ki madad se internet par Kaam karne ki aadat ban payegi.



Tho chaliye jante hai kuch khas Shortcut keys ke baare me jo Internet user ke liye kaafi helpful hain.


Internet User Ke Liye Top 39+1 Shortcut Keys


computer-shortcut-keys-specialy-for-internet-user


1 ) Ctrl+1 [ 1 se lekar 8 tak button kaam karte hai ] :

is shortcut key ke help se aap Tabs ke bich me jaa sakte hain. Ctrl ke baad jo number dabayenge Tab khul jayega.



2) Ctrl+9 : Kisi bhi browser me Last Tab me jaane ke liye iska istamal karte hai.

3) Ctrl+Tab : Next tab par jane ke kiye

4) Ctrl+Shift+Tab : Previous tab par aane ke liye

5) Ctrl+W : Current Tab close karne ke liye

6) Ctrl+Shift+W | Ctrl+F4 :  Sab tabs ko ek sath band karne ke liye

7) Ctrl+Shift+T : Galti se band kiye huwe aakhiri tab ko fir se open karne ke liye

8) Ctrl+T : New Tab open karne ke liye

9) Ctrl+N : New Brower Window kholne ke liye

10) Ctrl+Shift+N : New Incognito(Private) Windows open karne ke liye

11) Ctrl+Shift+Left+Click : kisi bhi tab ko pehle wale tab me kholne ke liye

12) Ctrl+Plus (+) : Page Content Zoom karne ke liye

13) Ctrl+Minus (-) : Page Content Zoom-out karne ke liye

14) Ctrl+0 : Page ko default zoom par set karna

15) Alt+Space : Main menu open karne ke liye

16) Alt+ Right Arrow|Shift+Backspace : Online video forward karne ke liye

17) Ctrl+R|F5 : Page Reload

18) Alt+Home : Browser ko home page pe load karne ke liye

19) Spacebar|Pagedown : Page Scroll down ke liye

20) Shift+Spacebar|Pageup : Page scroll up ke liye



21) Mouse Middle Click : Mouse se webpage scrolling ke liye

22) Ctrl+F : Web page par text search ke liye

23) Ctrl+G : Webpage par next matched text search karne ke liye

24) Ctrl+H : Browser History open ke liye

25) Ctrl+J : Download history dekhne ke liye

26) Ctrl+D : Present Web page Bookmark karne ke liye

27) Crtl+L : Address Bar par focus karne ke liye

28) Ctrl+Shift+O : Bookmark Manager open karne ke liye

29) Ctrl+P : Present  Webpage ka printout ke liye

30) Ctrl+S : khule huwe Page ko PC me Save karne ke liye

31) Ctrl+O : Computer me save ki huyi file ko open karne ke liye

32) Ctrl+U : Kisi bhi webpage ka Source code dekhne ke liye

33) F11 : Current Website ko Full-Screen mode me jane ke liye aur Full-Screen mode se exit hone ke liye

34) Alt+Left Arrow : Back page pe jane ke liye

35) Alt+Right Arrow : Page Forward karne ke liye

36) Home : Web page ke top pe jane ke liye

37) End : Web page ke bottom me jane ke liye

38) Ctrl+Shift+Del : Browser History delete karne wali window open karne ke liye

39) Ctrl+Left-click : Background me kisi bhi link ko new tab me kholne ke liye

40) Ctrl+Shift+Left-click : Background me kisi bhi link ko New Window me open karne ke liye



Note : Inme si kuch shortcut keys Internet Explorer me kaam nahi karti hain.

Also Read :

Computer Virus Kya Hota Hai ? Aur Kitne Type Ka Hota Hai ?

Computer Search Result Me Files Hide Kaise Kare

Piracy Windows Ko Free Me Genuine Kaise kare ?

Friends ye thi kuch Top Computer Shortcut Keys jo internet user ke liye kaafi helpful hai. agar aapko is post related koi dout ho tho Comment box me comment karke puch sakte hai.


Post a Comment

0 Comments