Data Recover Karne 3 Best Applications For Android

Aaj kal Android phone big storage hone ke wajah se data store karna bahut aasan ho gaya hai. Lekin kabhi by chance aisa hota ki bhul se hum koi file ya kuch data delete kar dete hai ya, phir koi important contact number ya call logs delete kar dete hai.Ab wo data jo delete hua use kaise wapas laye. Iske liye hum aaj 3 best data recovery applications ke bare batata hu jo 100% working applications hai.

Hindi Me Infotech

Ye applications data recovery apko bahut aasan bana dete hai. Chahe apka Android mobile se lost hua data ho ya phir apke SD memory card ko format karne me lost hua data ho . Aap sabhi devices se data recover kar sakte hai. Aur iske liye apko computer ki bhi jarurat nahi padti hai.

Best Data Recovery Android Apps

1. Undeleter Recover Files And Data 

    Android mobile me data recover karne ke liye ye best or easy applications hai. Undeleter recovery application ka use karke hum apni call log aur social media conversion ka data ko bhi recover kar sakte hai.

    Ye application run karne ke bad humhe pehle storage device select karna hota hai, jaha se data delete hua tha. Ye application device ko scan karta hai aur delete data ko display kar deta hai. Jo data chahe hum restore kar sakte hai.

       Download Undeleter Recover

2. EaseUS MobiSaver-Recover Deleted Files & Contacts 

    Lost data ko recover ke liye ye bhi best application hai. Ise use karna bhi bahut aasan hai.  Application ko download karke scan karna hota hai aur display hue data ko restore karna hota hai. Ye ek bahut simple data recover application hai.

  Download Ease Us Mobile Data Recover

3. Dr. Fone Data Recover

     Dr. Fone data recover best application hai aur use karna bhi bahut aasan hai. Is application me one-click karke lost hua data recover kar sakte hai. Isko use karko hum what's app message or mobile ke sms bhi recover kar sakte hai.
      Ye humhare system se deleted sabhi data ko scan karta hai. Jise hum one-click karke kuch hi minutes me data restore kar sakte hai.

     Download Dr. Fone Data Recover

Friends ye post padne ke baad apko data recover ke liye kisi bhi tarah ki tension lene ki jarurat nahi hai kyu ki ye sabhi application free hai. Aue easily Google Playstore  se download kar ke use kar sakte hai.
     
      Agar apko ye post pasand aaye tho share jarur kare.

Post a Comment

0 Comments