Hello friends Mobile aaj kal hamhare life ka sab se important part ban chuka hai. Mobile ke bina hum 1 din bhi reh nahi sakte hai. Kyu ki Technology itne tezi se badh rahi hai ki jis chiz ke liye hum computer ka istamal karte hai. Wo sare kam ab hum smartphones se bhi kar sakte hai. Mobile ek portable device hone ke karan hum use kahi bhi lekar ghum sakte hai. Tho ye ek badiya technology hai, Per kya aap jante hai ki mobile ek electronic hardware device hone ke karan isme bhi kahi sare common problem hai jis ke wajah se mobile proper kam karna chod deta hai. Tho aaj ke post me hum mobile se judi interesting tricks ke bare me pata karenge ki kaise hum khud hi mobile ke problem ke bare me jann sakte hai aur unhe solve bhi kar sakte hai.
Mobile Repair Tips Amd Tricks
Samsung Mobile Restart Aur Hanging Problem
Friends mobile me restart or hanging problem ek common software program hai, aur har mobile me kabhi na kabhi ye problem ko hamhe face karna padta hai. Tho agar aap ke pass Samsung ka koi bhi mobile hai tho sabse pehle mobile ke dialpad me niche diye code insert kare.
*#2767*3855#
Jaise hi aap ye code mobile me dal kar ok button press karoge waise hi aap ka mobile Restart hona. Mobile Restart hone ke badh aap ko mobile ki puri setting phir se karni hogi. Jaise hum new mobile lete hai. Same usi tarah bass ek bath ka dyan rakhana hai ki is process me aap ka data lost ho sakta hai. Isiliye aap mobile se Memory Card ko remove kare.
Friends ye mobile reset hone ke badh phir se aap ka mobile hang ya slow chal raha hai tho aap ko mobile me new Software ko dalna hoga.
Mobile Network Problem Ko Kaise Fix kare
Friends aapne kahi baar dekhe hoga ki kayi mobiles me network week aata hai. Yane open area me hi mobile me kuch hi network available hota hai. Phir Lock area me pura network gayab ho jata hai ye ek mobile me aane wali common problem hai. Agar aapke mobile me bhi ye problem aa rahi hai. Tho bas niche diye kuch steps ko follow kare aur network problem ko solve kare.
● Sabse pehle mobile ka IMEI number check kare. Phone ka IMEI number karne ke liye *#06# dialpad type kare.
● Phir mobile me lage SIM card ko check kare ki Sim card proper connected hai ya nahi. Kyuki proper Sim na lagne ke wajah se mobile me network related problem show hoti hai.
● Sim card ke badh mobile me network setting check kare → Auto Network → Manually Network check kare. [ Mobile me Auto Network hi rakhna jaroori hai]
● Phir bhi mobile me network related problem hai, tho mobile ko open karna hai aur network antenna check karna hai. Jaise ki antenna ki cable loose tho nahi, agar loose hai tho use tiate kare phir bhi same problem hai tho bas use cable ko change kare aur network related problem solve ho jayegi.
Friends phir bhi aap ke mobile me network related problem solve nahi hue hai tho aapko PCB se network IC ko replace karna padega. Par don't worry 80% kaam loose cable ko tiate karne se aur cable replacing se hi solve ho jayegi.
No Display | Stuck | Boot Start Screen Problem Kaise Solve Kare
Aapne kahi saare mobile me dekha hoga ki mobile Boot Screen se aage nahi badhta hai. Yani company ka logo aata hai phir mobile poora blank ho jata hai. Tho ye ek bada problem hai jo Android smartphone me jyada aati hai.
Aise situation me mobile me kahi saare fault ho sakte hai. Hum kisi part ko check kar ke use replace kar ke ye problem se chutkara nahi paa sakte hai. Agar aap ko mobile repairing ki jankari hogi tho aap ko pata hoga ki mobile me PCB ke saare connection CPU ko aakar milte hai. Aur yaha CPU aur mobile hardware parts ke bich me koi bhi connection short hota hai. Tho aap ke mobile me problem aana start hota hai. Tho chaliye jante hai ki agar mobile me display related koi problem hoto kaise solve kare.
● Friends agar aapke pass koi Booting or logo related problem wala mobile repairing ke liye aata hai. Tho sabse pehle us mobile ke Software ko Flash karna jaroori hai. [ Aap Ko Mobile Ko Flash Karna Hai Na Ki Hard Reset ] agar mobile software related koi bhi problem ho to ye Flashing se slove ho jayegi.
● Phir bhi problem hai tho mobile ke ander Carbon ( dust ) jama hone ke karan bhi aap ka mobile PCB kaam karna band kar deti hai. Tho simply mobile ko open kare aur poore PCB ko IP Liquid se Clean kare.
● Phir bhi problem hai tho mobile ke ander Carbon ( dust ) jama hone ke karan bhi aap ka mobile PCB kaam karna band kar deti hai. Tho simply mobile ko open kare aur poore PCB ko IP Liquid se Clean kare.
● Mobile ko IP se clean karne ke badh use Hot AirGun se dry kare kyuki bina dry ke mobile start nahi hoga.
● Mobile ka proper service hone ke badh bhi mobile start nahi ho raha hai, tho Mobile ke Hardware me kahi na kahi problem ho sakti hai.
●Hardware ki baat kare tho mere experience ke hisaab se Mobile Ki Charger Connector ko replace kar ke bhi ye problem slove ho sakti hai. | Memory Card Slote ka bhi problem ho sakti hai | Power Switch Shorting ki problem ho sakti hai | TouchPad problem ho sakti hai. Jaise TouchPad hai tho ye problem show ho rahi hai tho TouchPad ko replace kare tho problem solve ho jayegi. Processor se jo data line judi hai usme se koi bhi part me problem ho to aap ka mobile Stuck or No Display ki problem ko face karna padega.
2 Comments
Hello there... kya aap hamare liye guest post accept karenge. Humara bhi mobile service center chennai mein hai. Agar aap interested hain to hum aapko ek unique guest post provide karayenge.
ReplyDeleteThank You
Haa hum accept karenge.
Delete