Rooted Mobile Ke Liye Top 10 Apps

Agar aapne apne Android mobile ko root kar liya hai , tho ye post aapke liye hai. Ek baar android phone ko root karne se phone ko ham customize kar sakte hai. Matlab ham mobile ki jad tak jake usme kuch bhi change kar sakte hai. Phone root ho jaane ke baad usme ham bahut si special applications install kar sakte hai jo unroot mobile install nahi ho sakte. Special applications means hacking apps , WiFi Cracking apps etc.

Aaj me apko kuch aisi hi top 10 special aaps ke bare me batane wala hu jisse aap apne rooted mobile ko super mobile bana sakte hai. Agar aapko root ke baare me koi jankari nahi hai tho ye padge. One Click Me Root Kaise Kare

10 Applications Jo Bana Sakte Hai Apke Normal Mobile Ko Super Mobile

applications-for-rooted-mobile

1. Greenify

      Is apps se aap apne mobile ke sabhi apps per najar rakh sakte hai aur pata laga sakte hai ki kon sa apps jyada battery kha raha hai. Aur us app ko band bhi kar sakte hai. Greenify app use karne wala har user is app ko bahut like karta hai. Kyuki is app se hamhari mobile ki battery ki life kafi had tak improve hoti hai. Market me ye app  free or paid version me available hai.
2. Tasker ( Paid )

    Kya aap apne mobile ko har ek action ko automatic banana chahate hai ? Tho aap Tasker app se task set kar ke kuch bhi kar sakte hai. Jaise ki mobile me headphones lagate hi automatic music player on ho jaye etc. Aapka mobile rooted hai tho ye app ek baar jarur try kare kyu ki bahut logo ne ise use kiya hai , aur iske review bhi bahut ache hai.
3. Nandroid Manager

     Is app se aap messages , calls , WiFi points , etc. Ko restore kar sakte hai. Ye aap backup + restore ke liye bahut hi best hai.
4. GL Tools 

     Ye ek top rated android aap hai. Kya aap heavy games khelte hai ? Tho aapko aaj hi ye app install karna chahiye , jabhi ham kisi heavy size ke game ko khelte hai. Tho voh slow chalti hai. Aur graphic problem aati hai. GL Tools se aap heavy size ke gaming slow problem slove kar sate hai.
5. Link2SD

    Link2SD aap se mobile ke internal storage ki applications ko hum SD card me transfer kar sakte hai. Apps ko SD card me transfer karne par hamhari mobile ki internal storage boost hoti hai. 
6. AdBlock Plus 

    Adblock plus app se hum kisi bhi site or apps ki ads ko stop kar sakte hai. Jab hum kisi site pe visit karte hai tho un sote par pop ads show hote hai. Jo hamhe kafi pareshan karte hai. Isiliye aise ads ko band karne ke liye Adblock ka use kar sakte hai.
 ●  Click Here To Download

7. System App Remover 

     Is app ke jariye hum aasani se apne mobile ke system apps ki delete ya uninstall kar sakte hai. Aur phone storage ko badha sakte hai.
 ●   Click Here To Download

8. Chainfire 3d

     Chainfire 3d aap se high games ki size ko reduce kiya ja sakta hai. Agar aap high graphic game ke lover hai tho ye app apke liye best hai. 

9. WiFi Kill

    Agar aapka Hotspot connection on hai or aapke friends ya aapke padosi wale aapke connection ka use kar rahe hai tho aap unke WiFi connection ko cut kar ke inhe rok sakte hai. Kisi ka WiFi cut karne ke liye ye app best hai.
10. Titanium Backup

      Rooted mobiles ke liye ye aap sab se behtar mana jata hai. Kyuki is aap se aap sirf one click se hi apne Android device ke delete hue sare data ko restore kar sakte hai. Is app ki or ek khaas baat ye hai ki aap apni Android ID ko bhi badal sakte hai. Agar aap ek serious Android user hai or aapke pass bahut se important data hai tho ye aap aapko jarur install kar lena chahiye.
 ●  Click Here To Download

I hope uper diye apps apke liye bahut helpfull honge. Agar aapke mann me is post lekar koi doubts hai tho niche comment karke puch sakte hai.

Post a Comment

0 Comments