Hello friends Android mobile me Kali Linux install karne ke liye Play Store par aap ko kayi saare applications mill jayenge, lekin iske liye kam se kam 1GB space aapke mobile me hona chahiye, Termux ki madat se aap easily 200MB se bhi kam space me Kali Linux Package install kar sakte hain. agar aapko kali linix ke baare me aur bhi jankari chahiye tho yaha click kare.
Termux Kya Hai ? What Is Termux In Hindi
Yah ek terminal emulator hai, jo ki Linux Environment provide karta hai. Termux app ki madad se Hydra, Nmap, Red Hawk jaise tools bhi install kar sakte hain. Iske sath kuch Extra Add-ons bhi aate hai, jinhe install kar aap inme se kuch aur features jhod sakte hai.
Termux Add-ons :
● Termux-API
● Termux-Boot
● Termux-Styling
● Termux-Task
● Termux-Float
● Termux-Widget
Android Me Termux Kaise Install Kare Aur Kaise Istamal Kare?
Termux Install karne ke liye aapka mobile Rooted hona jaruri nahi hai | Ye jo method hai wo rooted aur unrooted mobile dono par work karta hai.
Step 1 : Sabse pehle aap Playstore me jaakar Termux app download kare.
Step 2 : Termux open kare aur yeh command type kare >> apt update && apt upgrade aur phir Enter kare.
Step 3 : Uske baad termux-setup-storage type kare aur Enter kare.
Aapne successfully Termux ko setup kar liya hai. Ab aapko isme kuch important tools aur packages install karne honge tho chaliye pehle kuch important packages install karte hain.
Termux me PHP Environment ka hona jaroori hai, kyun ki kuch tools me php environment ka hi use hota hai tho isse install karne ke liye yeh command type kare. >> Pkg install php installation ke liye termux ko kuch special steps dena padta hai uske liye yaha phir Y type kar Enter kare aur ab Termux me aapne php environment bhi install kar liya hain.
Ab baari aati hai Git Command ki git command ka use github aur kisi bhi dusre source se files ko direct copy karne ke liye istamal kiya jaata hai aur yeh command bahut hi important command hain.
Isse install karne ke liye type kare >> pkg install git
Termux me python install karne ke liye yah command type kare. >> pkg install python2
Termux Me Basic Tools Kaise Install Kare ?
1. Nmap : Nmap tool ka use Information Gathering aur Vulnerability Scanning ke liye kiya jaata hai.
Ise install karne ke liye yeh command type kare. >> pkg install nmap
2. Hydra : Hydra ek bahut hi powerful tool hai. Iska use Brute Force ke liye kiya jata hai. Ise install karne ke liye type kare >> Pkg Install Hydra
3. SQLMAP : Yeh ek popular website vulnerability scanning tool hai. Isse install karne ke liye type kare. >> git clone https://github.com/sqlmapproject/sqlmap.git fir enter kare. Kuch minute wait kare, download hone ke baad yeh type kare. >> cd fir type kare Is fir yeh command type kare >> cd sqlmap-dev aur phir python2 sqlmap.py type kar iska istamal kar sakte hain.
Also Read :
>> Top 7 Hacking Apps For Without Rooted Android Mobiles In Hindi
>> How To Hack Any Android Phone Using Kali Linux In Hindi
>> Virus Send Kar Kisi Bhi Computer Ko Kaise Hack Kare ?
Aur kayi saare tools hai jinhe hum Termux me install kar sakte hai. Aapko pata chal gaya hoga ki Termux Kya Hai | Iska Istamal Kaise Karte Hai. Agar aapko is post se related koi sawal ya koi doubt ho niche comment kar puch sakte hain.
1 Comments
Sir termux ke command bataiye
ReplyDelete