JioFi 3 Hotspot Ka Name Aur Password Kaise Change Kare


Hello friends aaj ke is post me mai aapko batane wala hu ki JioFi 3 Hotspot ka name aur password kaise change kar sakte hai. Friends jab hum Jio Fi ka Router kharidte hai tab jio company khud ka diya huwa name aur password hota hai. Lekin mai aap ko bataunga ki kaise aap us JioFi 3 ka password aur name change kar sakte hai. Ye bahut hi aasan hai bas aapko mere bataye step ko follow karna hai aur aap aasani se name aur password change kar payenge



Friends mai jo method batane wala hu jio fi 3 name aur password change karne ka ye method sabhi JioFi Routers ke liye same hi hai. Bas aapko simple steps ko follow karna hai jisase aap apne jio fi ka password aur name change kar payenge. 


JioFi 3 Hotspot Device Ka Name Aur Password Kaise Change Kare


jio-fi-name-password-change



1 > Sabse pehle apne Laptop ya Mobile me JioFi Connect kare.

2 > Jio Fi Connect hone ke baad aapko www.jiofi.local.html par visit karna hai. 

3 > Jaise hi aap is par visit karenge aapke samane kuch is tarah ka interface dekhega.

4 > Aap ko login par click karna hai. Click karte hi ek Pop-up open hoga 

5 > Aapko User I'd aur Password me administrator type karna hai aur login par click kare hai.

jio-fi-login


  • Sabse pehle aapko Network par click karna hai.
  • Ab WiFi Configuration par click kare.
  • Network Name (SSID) me aap jo chahe wo name yaha par enter kare.
  • Password me apna new password enter kare.
  • Last me Save par click karde.

wifi-configuration

Jaise hi aap save par click karenge aapko kuch is tarah se dekhayi dega aur aapka Jio WiFi disconnect ho jayega or automatic reboot ho hoga kuch seconds wait kare. Reboot hone ke baad aap ko new password enter karna hai jo aapne new password me enter kiya tha wo password enter karte hi aapka jio wifi aapke device se Connect ho jayega.


Note : Agar aapka Jio WiFi laptop/mobile se connect na ho raha ho tho aap jiofi ke data cable se connect kare aur process same hi hai.



Friends ab aap apne mobile ya laptop me dekh sakte hai ki humne jo name change kiya tha wo successfully change ho gaya hai. Tho aapne dekha ki JioFi 3 Hotspot Device ka Name aur Password Change Karna Kitna Aasan hai.

Also Read :

Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Istamal Kare ?
What's App Par Delete Kiye Messages kaise Padhe ?
Top 3 Android Mobile Secret Codes In Hindi

Friends apko ye article kaise lagi hamhe comment me jaroor bataye taaki aesi hi post aap logo ke liye likhte rahe aur agar aapko JioFi device ka Name aur Password Change karne me koi problem aa rahi ho to aap hamhe comment me bataye hum aapki jarur help karenge.




Post a Comment

0 Comments