Best CMD Commands Used In Hacking [ In Hindi ]

Hello friends command prompt ek bahut acha tool hai isse hum CUI [ Character User Interface ]  ke name se bhi bolte hai. Hacking me mostly hackers Windows ke alawa aur bhi Hacking Operating System use me lete hain. Jaise ki Lunix,Ubuntu,etc. but thodi bahut Hacking Techniques me CMD bhi bahut use kiya jata hai. Tho aaj hum Best CMD Commands Used In Hacking ke baare me janenge.



Best CMD Commands Used In Hacking Every Hacker Should Know

best-cmd-commands-used-in-hacking

Sabse pehle aapko Win+R button press karna hoga aur search box open hoga isme cmd type kare phir enter press kare. Isase aapka Windows Command Prompt open hoga ab niche diye commands isme run karke dekhe.


Hacking CMD Commands

> ipconfig
> ping
> tracert
> nslookup
> netstat -an
> net user
> route print


ipconfig : Yeh Command aapke computer ka IP Address janne ke liye kaam me aata hai. IPCONFIG Aapke computer ke ip address, subnet mask, DNS, Gateway, MAC Address, aur bhi kayi tarah ki jankari ke liye kaam me liya jata hain.

ipconfig-command

ipconfig | flashdns : agar aapke network me DNS server ka IP Address change huwa hai aur aapke PC me ye change nahi ho paa raha hai tho aap ye command ki madad se computer ke DNS Cache Flash kar sakte hai

ipconfig-flashdns-command

ping : agar aapko pata lagana hai ki aapka computer jo ki network se connected hai wo kisi dusre network jaise computer ya koo other devices se connected hai ya nahi tho aap ping command use kar sakte hai. Iske alawa ping command aapko ye bhi batata hai ki aapke dusre computer se kitni dair me wapas reply aa raha hai. Agar koi error ya koi problem hai tho ping command wo bhi message display kar deta hai.



tracert : Friends agar aapko kisi bhi website ka Route check karna chahate ho to aapko apne command prompt open karna hai or usme Tracert  www.sitename.com type karke enter dabana hai

tracert-command

Enter dabate hi aap ke samane us site ke route show ho jayega.


nslookup : ye ek aisa cmd hacking command hai jo hacking me mostly bahut hi jyada use hota hai. Is command ka use karke aap kisi bhi website ka IP Address aur Server address ek sath pata kar sakte hai.

nslookup-command

Is command ko run karne ke liye aapko command prompt me nslookup www.sitename.com type kar ke enter karna hai aur apke samane us Website ka IP Address or Server Address show ho jayega.



Friends Nslookup command se aap kisi bhi mail server ka ip ka bhi pata sakte hai. Mail server ka ip kaise pata karte hai janne ke liye niche diye step ko follow kare.

nslookup-mail-server-checking

  • Sabse pehle aapko apne PC me cmd open karna hai aur usme nslookup type karke enter dabana hai.
  • Fir aap set type=mx type kare aur enter dabaye
  • Fir aap ko mail site type karna hai jaise ki Gmail.com ya Yahoo.com type karna hai aur Enter dabana hai or aapke samane us mail server ka ip show ho jayega.

Netstat -An : ye command bhi hackers dwara bahut jyada use kiya jata hai. Is command ka use karke aap sabhi Active Connections aur Ports ki jankari paa sakte hai. 

Is command ko run karne ke liye aap ko cmd me Netstat -An type kar enter dabana hai.

netstat-an-command

Enter karte hi aapke samane sabhi Active Connection or Listing Port list show ho jayengi.

Net user : Is command ka use karke aap apne computer ka password change kar sakte hai wo bhi bina old password use kiye. Agar aapne apne computer ka password command prompt use karke change karna chahate ho sabse pehle computer cmd open kare.



Phir aapko Net User apne pc ka name aur password type karna hai aur phir enter press karna hai. Aap yaha se apne computer ka password change kar sakte hai.

Route : yah ek aisa command hai jo cmd hacking commands me bahut jyada popular hai. Is command ka use karke aap Gateway, Interface, Routing Table or other Routing details bhi check kar sakte hai.

route-print-command

Is command ko run karne ke liye aap ko cmd me route print type kar ke enter press karna hai aur aapke samane Route Details show ho jayengi

Also Read :

>Virus Send Kar Kisi Bhi Computer Ko Kaise Hack Kare ?
>FatRat Tool Kya Hai | Iski Madad Se Android Phone Kaise Hack Kare ?
>Police Chori Huye Mobile Ka Location Kaise Trace Karti Hai

Friends ye the kuch Best CMD Commands Used In Hacking, agar aapko is post related koi problem ho tho aap niche comment kar sakte hai.

Post a Comment

1 Comments