Cool Computer Trick And Tips In Hindi

Hello friends computer ne hamhare jivan  ko bahut bada prabhavit kiya hai. Aapne bhi apni life me computer ka istamal kiya hoga ya karte aa rahe honge. Computer ki madad se hum log kayi tarah ke kaam aasani se kar lete hain. Friends agar aap logo ko computer tricks n tips pata ho tho aap computer ko aur bhi smart tarike se istamal kar sakte hai aur aap ek behatar computer user ban sakte hai. Aaj mai aap logo ko Top 5 Cool Computer Tricks And Tips ke baare me batane wala hu jo kafi useful hain. 


Computer Tips & Tricks In Hindi


cool-computer-tricks-and-tips

1 > Computer Ke Hard Drive  Ko Hide Kaise Kare ?

Computer me kayi tarah ke data ko store kiya jaata hai. Jinme se kuch data aisa hote hai, jinhe hum kisi aur logo ke sath share nahi karna chahate hai. Aise me aap apne computer ke sabhi important data ko kisi ek drive me save karke hide kar sakte hai.  Computer ke hard drive ko hide karne ke liye niche diye steps ko follow kare.

  1. Sabse phele aapko apne My Computer me jaa kar Right click kare.
  2. Fir aap ko Manage Option par click karna hai. Aapke samane Computer Management Windows opne ho jayega.
  3. Ab aapko Disk Management Option par click karna hai. 
  4. Jis bhi drive ko hide karna hai us par right click kare. 
  5. Change Drive Letter And Path option ko select kare.
  6. Ab aapke samane ek window open hoga, usme aapko Remove option pe click karna hai. Aapka drive remove ho jayega. Aap jis bhi drive ko hide kar rahe hai, agar aapne usme koi program install kiya hai to aap ko ek warning ya error message mil sakta hai. 
Is tarah se aap computer me C Drive ko chod kar kisi bhi drive ko hide kar sakte hai. 



Agar aap hide kiye hue drive ko fir se wapas lana chahate hai tho aapko change drive letter and path option tak same process karna hai. Uske baad aap ko remove ke jagah Add option ko select kar aap hide kiye drive ko unhide kar sakte hai. 
2 > Computer Drive Ko Lock Kaise Kare ? 

Friends aap apne computer drive ko hide karne ke bajaye use lock karna chahte hai tho aap Bitlocker Application ki madad se aasaani se computer drive ko lock kar sakte hain. Computer drive ko lock karne ke liye niche ↓ diye steps ko follow kare.

  1. Jis bhi drive ko lock karna chahte hai us pe right click kare.
  2. Fir aapko Turn On Bitlocker Application ko select karna hai. 
  3. Iske baad aap ko password set karne ka option milega. Use a password to unlock the drive option me tick ✔ kar password set kar le aur Next button par click kare.
  4. Aab aapke samane Recovery key ko Save karne ka option aayega, aap Save To A File pe click kar ke kahi per bhi save karle. Password bhul jane par Recovery Key ki madad se drive ko open kar sakte hain.
  5. Ab Next button par click kare.
  6. Ab aapke samane encrypt karne ka option aayega, usme aapko kuch nahi karna hai bass next, next karte huwe chale jaye. Iske baad aapko Start Encrypting ka option milega uspe click kare aur thodi dair wait karne ke baad aapke drive me password set ho jayega.
  7. Ab aapko apna computer ko Restart karna hain aur aap dekhenge ki aapke drive me password set ho gaya hai.
Is tarah se aap apne drive me aasani se set kar sakte hai.

Also Read :

How To Remove/Unlock Memory Card Password In Hindi

Computer Search Result Me Files Hide Kaise Kare

3 > Accidentally Close Huwe Tab Ko Wapas Kaise Laye ? 



Hum apne browser me ek sath kayi tab ko open kar lete hai jin me si kayi tab bahut hi important hote hai. Kabhi-Kabhi galati se tab close ho jate hai aise me aapko phir search karna padta hain ya history me jana padta hain lekin mai aapko aap ek aisa shortcut batane wala hu, jiski madad se aap galati se close huwe tab ko wapas la sakte hain.

Chrome Browser - agar aap chrome browser istamal karte hai. To galti close hue tab ko wapas lane ke liye apne keyboard me shift+ctrl+t press kare.

Mozilla Firefox - Mozilla Firefox browser ke khaali jagah me right click kar ke undo close tab option ko select kar glati se close hue tab ko wapas la sakte hai.



4 > Computer Auto Shutdown Kaise Kare

Friends agar aapka computer aapke hisab se auto shutdown ho jaye to kaise rehega. Agar aap bhi aisa karna chahate hai ki computer automatically shutdown ho jaye to niche ↓ diye huwe steps ko follow kare.

  1. Sabse pehle aapko apne computer me notepad ko open karna hai
  2. Iske baad notepad me ek choti se coding karni hai. Aap ko notepad me " shutdown -s -t 60 " likhna hai aur ise .bat extension ke sath save karna hai. 
  3. Uper diye gaye code me 60 seconds hai. Aap apne computer ko kitne second ke baad auto shutdown kar na chahte hai wo aap 60 ki jagah ki likh sakte hai. 
  4. Ab aapne jo file save kiya hai us par double click karna hai. Aap ne code me jitne seconds set kiye hai utne hi seconds ke baad aap ka computer automatically shutdown ho jayega.

Also Read :



5 > Apka Computer Male Hai Ya Female Kaise Pata Kare

Friends kya aapko pata hai ki aapka computer male hai ya female ?? Agar aapko nahi pata hai aur janna chahate hai to niche ↓ diye point ko follow kare.
  1. Sabse pehle apne computer me notepad open kare.
  2. Aapko niche diye code ko copy kar apne notepad me paste karna hai.
  3. Dim message speak Message=Inputbox("Enter text ","speak") Set Speak=CreateObject("sapi.spvoice") Speak.Speak Message
  4.  Ab aapko ise .vbs extension ke sath save karna hai.
  5. File ko save karne ke baad use double click kar open kare. Aap ke samane ek pop-up windows khulega.
  6. Ab text box me kuch word type kar OK button pe click karna hain.
  7. Ab aap apne computer ki voice ko sun sakte hai aur pata aasani se pata laga sakte hai ki aap ka computer male hai ya female.
Friends yeh ek funny trick ise ek baar jarur try kare.

Mai umeed karta hu ki aap logo Cool Computer Trick and Tips jaroor pasand aayenge, agar aapko yeh post pasand aaya ho to ise apne friends ke sath social media par share jaroor kare.




Post a Comment

0 Comments